Meri duniya basne se pahle hi ujad jaayegi mujhe maalom na tha.
Jindagi is tarah se mujh se kinara kar jayegi mujhe maalum na tha
Kuch sapne maine dekhe the jo bin tere adhure the
Na ho payenge pure ve bhi mujhe maalum na tha
Jis umeed pe merri duniya kayam this,na jaane kya majburi thi
Vo chohd jaayegi mujhe is tarah mujhe maalum na tha
Jise dil apna samjha karta tha
Adao pe jiski wo jivit raha karta tha
Vo chand hi lamho mai ho jaayegi parai
Na aayegi fir kabhi mujhe maalum na tha
Aankho me jiski mujhe Umeed a kiran dikhai di
De jaayegi jeevan bhar ka andhera mujhe maalum na tha
Baato me jiski mujhe hamdardi dikhai di
Na to wo aa payegi Mayyat pe meri
Or na hi ro paayegi yaad me meri
Itna sab ho jayega sab kuch mera lut jaayega
Hamsafar samjha tha jise wo hamnashi kho jaayega
Is tarah mil ke wo mujhse dur chala jaayega
Ek “Pardesi ” ki tarah mujhe maalum na tha
Monday, November 10, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment