Monday, November 10, 2008

Jeevan saathi/Sangharsh

Yadi paana chahate ho saath mera,Sangharsh ati karma hoga
Sukh chain ka jeeva tyaj karke,sang sang mere chalna hoga
Chahe tyajna tumhe ghar baar pade,fulo se mahakta dwar pade,
Chahe Maata-Pita ki yaad aaye,Rona bi hazaro baar pade
Tumhe khusiya apni kho karke ,Dukh-dard mera sahna hoga
Sukh chain ka jeeva tyaj karke,sang sang mere chalna hoga
Chahe dukh dardo k mele ho,na khusiyo k jhamele ho,
Chahe na aaye muskurahat honto par,hans hans sab kuch karna hoga!
Sukh chain ka jeeva tyaj karke,sang sang mere chalna hoga
Chahe sahne samaj k taane ho,ashru bi hazar bahane ho
Armano bhare is jeevan me,Tanhaio k veerane ho,
Chahe khuda bi nikle bedardi,Hamdard tumhe banna hoga
Sukh chain ka jeeva tyaj karke,sang sang mere chalna hoga

Mera Ghar

Mere Ghar ka jarra jarra,kitna bekarar hai
Kab aaoge tum dekhne unhe intizar hai
Mere Ghar ka jarra jarra,kitna bekarar hai
Tasveer teri hi dekh ke unhe milta karar hai
Mere Ghar ka jarra jarra,kitna bekarar hai
Teri aavaz sunne ko kitne vyakul ho rahe hai ve,
Jaagte hai lagte hai fir bi so rahe hai ve
Tum hi laoge jeevan me bahar unhe aitbaar hai
Mere ghar k jarre jarre ko tera intizar hai
Mere ghar k jarre jarre ko tera intizar hai

Prem ka sparsh

Na rang chahiye,na mridang chahiye
Na kisi pushp ka makrand chahiye
Na haarne ka gam na jeet ki khushi
Na chinta kisi hashra kin a nishkarsh chahiye
Mujhe tumhare prem ka sparsh chahiye
Mujhe tumhare prem ka sparsh chahiye
Na khushiya na khudai or na hi swarg chaiye
Mujhe tumhare prem ka sparsh chahiye
Mujhe tumhare prem ka sparsh chahiye
Chahe chuht jaaye duniya or ruth jaaye rab
Na koi kare yaad or bhul jaaye sab
Agar fir bi aau yaad to aansu na bahaiye
Or ho sake to ye sandesh us tak pahuchaiye
Mujhe uske prem ka sparsh chahiye
Mujhe uske prem ka sparsh chahiye
Haq hai tumhe chahe kitna bi sataiye
Jitna jyada rula sako utna rulaiye
Par meri dili tamanna ko na bhul jaiye
Mujhe tumhare prem ka sparsh chahiye
Mujhe tumhare prem ka sparsh chahiye
Mujhe karoge jitni dur utna hi paas paoge
Bin mere na kahi par tum bi chain na paoge
Yadi tark hai ye vyarth to mujhe chhod jaaiye
Par antim khwaish ko na meri bhul jaiye
Mujhe tumhare prem ka sparsh chahiye
Mujhe tumhare prem ka sparsh chahiye

Teri Tasveer

Mai ho jaata hu madhosh tere honto ko dekh kar
Kyunki sharmaata hai gulaab bi tere honto ko dekh kar
Mai dub jaata hu aankho me teri palko ko dekh kar
Kyunki karta hu pyaar teri tasveer dekh kar
Muskarata hu tumhe muskarate dekh kar
Kyunki kahta hai mera dil tumhi ho mere hamsafar
Mujhe hoti hai khushi Tumhari tasveer dekh kar
Kyunki aati hai yaad teri tasveer dekh kar
Mai bhul jaata hu Gam ise dekh kar
Kyunki Gam ho jata hai Gum teri tasveer dekh kar
Geet gaata hu mai teri tasveer dekh kar,
jab muskarate ho tum mujhe dekh kar
Khush ho jaata hu mai Teri tasveer dekh kar
Tum lagte ho paas tumhari tasveer dekh kar
Tadapta hai dil mera tumhari tasveer dekh kar
Vo ho chukka hai fida tumhe dekh kar
Rota hu mai trumhari tasveer dekh kar
Jab chale jaate ho tum mujhe na dekh kar
Kahta hu mai teri tasveer dekh kar
Aaja mere sanam tu mujhe dekh kar
Ud jaati hai neend meri yeh soch kar
Kahi chale na jaana dur tum mujhe chhod kar
Na bhula paunga mai tumhe kisi mod par
Or chhod jaunga ye duniya………….
yadi gaye tum mujhe chhod kar………

Chont Dil par

Na ankhiyo me aansu lana tum
Mere dil ko chont pahuchti hai
Na Geet Gamo k gaana tum
Mere dil ko chont pahuchti hai
Agar chehre par udasi aaye to
Ye hasi kahi kho jaaye to
jheli na judai jaaye to
Mujhe apne paas bulana tum
Na or kisi bahane se dil ko samjhana tum
Mujhe lekar apni baaho me
Meri saanso me mil jaana tum
Mujhe apni yaade de kar
Na dur kabhi bi jaana tum
Jab nahi mil paate tum mujh ko
Mere dil ko chont pahuchti hai
Na ankhiyo me aansu laana tum
Mere dil ko chont pahuchti hai

Sanam Pardesi ho gaya

Meri duniya basne se pahle hi ujad jaayegi mujhe maalom na tha.
Jindagi is tarah se mujh se kinara kar jayegi mujhe maalum na tha
Kuch sapne maine dekhe the jo bin tere adhure the
Na ho payenge pure ve bhi mujhe maalum na tha
Jis umeed pe merri duniya kayam this,na jaane kya majburi thi
Vo chohd jaayegi mujhe is tarah mujhe maalum na tha
Jise dil apna samjha karta tha
Adao pe jiski wo jivit raha karta tha
Vo chand hi lamho mai ho jaayegi parai
Na aayegi fir kabhi mujhe maalum na tha
Aankho me jiski mujhe Umeed a kiran dikhai di
De jaayegi jeevan bhar ka andhera mujhe maalum na tha
Baato me jiski mujhe hamdardi dikhai di
Na to wo aa payegi Mayyat pe meri
Or na hi ro paayegi yaad me meri
Itna sab ho jayega sab kuch mera lut jaayega
Hamsafar samjha tha jise wo hamnashi kho jaayega
Is tarah mil ke wo mujhse dur chala jaayega
Ek “Pardesi ” ki tarah mujhe maalum na tha